Zawar soch ma
hota ha k manatasha jaisi larki akhr
shaheer ko pasand kesa kar skti.
Mantasha k baray
ma sochta ha k “tm jaisi larki mana aj
tak nahi dekhi tm say achi to hania ha atleast jaisi ha waisi dekhti to ha”
Dosri taraf mantasha
khuda say apny acha naseeb ki dua karti h.Hania
ghr a k mantasha ko bolti ha k “tmhari waja say mjhy apny sasural ma embarrassment
hoti ha.tm shaheer kay sath akelay q gai.”
Hania shaheer ko
phone karti ha aur khti ha tm q lay k gay thy mantasha ko bahir ghomny.Shaheer
khta ha “she’s my fiancĂ© aur mjhy us
sy shadi karni ha”
Faiz k ghr walay
uski shdi ki tyaria kar rhay hotay han.faiz
ki maa a k khti ha k mari majbori smjho
faiz.bhai to bhno k lye na Janay kia kia kar jatay han.tm kamal bhai ko hi dekh
lo.
Zain jo k faiz ka
dost ha wo abeeha kay baray ma soch raha hota ha.aur abeeha ko ghr drop karty
hway khta ha k :”main tmhay bohat pasand
karta hon.tb say jab say apko faiz k ghr dekha tha.”
Abeeha khti ha”mohabat
sawaye dukh aur takleef k kuch nahi dati ha”
Es pay zain khta ha k:”ya
mayosi ka bhanwar hota ha bohat gehra hota ha.insan agar es k kinare pay rhay
to phr b bach jata ha lekin agar gehrai ma chala jaye to bchnay ki koi rah baqi
nahi rhti”
Shaheer hania ko
khta ha “Kabhi na kabhi to mjhy shadi
kari hi thi why not mantasha.aj ma mantasha say shadi karna chahta hon”
Hania khti ha k “ tm
pagal hogay ho”
Shaheer khta ha “tum mj jaisa banda kahi dekho gi b nahi”
Hania khti hay k “jab mantasha ko such ka pata lagay ga wo
tmhy chor day gi”
Shaheer khta ha “tm b es plan ma meray sath thi”
Hania khti ha “wo mari bhn ha mjhy to rota dekh maf
karday gi tm kia karogay”
Hania ja k mantasha ko smjhati ha k tm shaheer
say shadi mat karo. Tum us ky sath khush nahi reh skti. Mara kam tha jxt tmhy
smjhana jab hm kisi ki zindagi ma zabardasti jatay han to hmari koi ehmiat nahi
rhti”
Shaheer apni dost
ko btata ha k usay mantasha pasand
ha. Q k wo kabhi us pay restrictions nahi lagaye gi . aur yahi bat uski mjhy
pasand ha.
Shaheer zawar k
ghr ja kar shaista say khta ha k usay jaldi say jaldi mantasha say shadi karni
hay.hania jab ghr ma shaheer ko dekhti ha to bahr akelay ma
ja k usay khti ha k “tmhari himat kesa hoi yahan ana ki. Tmhy lagta ha main tmhari shadi
honay don gi”
Etnay main zawar a jata ha jisay shaheer khta ha k “meray aur
mantasha k rishtay say bohat say log jealous han” n chala jata ha
Hania ja kar apni maa say khti ha k shaheer acha larka nahi
ha wo manatasha ko khush nahi rakh skta ap ya mangni toar dain
Lekin uski maa es bat ko nahi mantii.
No comments:
Write comments