Hania ya bat sun k kay rishtay uska manga ja rha bohat khush hoti ha. Mantasha bahir bethi hoti ha aur soch rahi hoti ha k akhir uski galti kia ha jo uski ami us sy naraz han.
Etnay ma abeeha ati ha aur usay smjhati ha k "waqt say pehlay aur qismat say zyada kisi ko kuch nahi milta magar ami ko ya bat samj nahi ati ha "ami ka gusa temporary ha ap q parashan hoti han api zawar bhai apko dekh rahay thay mujhy lagta ha wo zaror hmaray ghr ki taraf loat k ayn gay.
mantasha aur hania k walid shaista ki bat say bohat khafa hotay han aur kehtay han k "meri betiyan showcase ma rakhi hoi chez ki tarah nahi han jo ik pasanad na ai to dosri la li"
aliya jo k mantasha ki maa ha wo kehti ha k ap kab tak mantasha ki waja sa hania ko ghar ma betha k rakhy gaY.
Hania ja kay Mantasha kay sath jagarti ha kay uski shadi bhi nahi ho pa rahi Mantasha ki waja say Mantasha gusay ma kehti hy k ma abhi ja k baba say keh dati hon k tmharai shadi kardain phly. Hania khti hay k "han jao aur baba say kaho k hania ki shadi zawar ahmed khan say kardo "mantasha ki walda aliya aur hania dono hi uskay sath bura salook karnay lag jati han
dosri taraf abeha kay sasural walay jo k uski phopho ka ghr bhi ha wo log esi bat pay khush hotay han k mantasha ki shadi kisis bohat baray ghr ma ho rae ha
hania bar bar mantasha par dabao dalti ha k ja k baba say bat karo k wo meri shadi zawar say karnay pay razi hojay.
zawar apni walida say khta ha k ap parasha lagti han.
jab say mana mantasha ko dekha ha tab say mjhy lagta ha mjhy us say bhtar larki nahi mil sakti
zawar ki maa kehti ha k "mantasha ko tm pasand nahi unho na hania ka rishta dia ha"
mantasha hania ki baton say tang a kar ja k apnay walid kamal say kehti ha k "ap shaista anty ka proposal accept kar lain kia farq parta ha shadi jis say b ho"
zawar apni maa(shaista) say khta ha k "ap hania k lye b mana kardain"
shaista zawar ko kehti ha k "ab tumhy mari bat manni hogi main unhy zuban da chuki hon aur pechay nahi hat skti" etny ma aliya( ka phone ata ha aur shadi ki rasam ki bat hoti ha jisy shaista qabool karlati ha
zawar dil ma sochta ha k "maa ma apko kesay smjhao khoubsorti hi sb kuch nahi hoti "
hania ki walida usy batati ha k kal rasam karnay arahi ha shaista. Hania khti ha k main heran ho baba man gay. Aliya khti ha k han mantasha k kehnay par.
Hania ki rasm hoti dekh kar mantasha wahan say uth k chali jati ha.
aur aliya kamal say kehti ha k shasita na kaha ha usy kuch nahi chaye wo hania ko khud lay jaye gi shopping karwanay .
Mantasha ki maa haniA ko khti hay k wo mantasha ko sath shopping py ly k jayee.
Agly din shaista ka driver a k khta hy k "hania madam k lye shaista madam ny car bheji hy aur unka hukum hy k zawar sir nd hania madam ko sath shopping py ly k jaon."
Abeha college say ati ha k to hania usk pas apna bag dekh k bolti ha k ya mjhy wapis karo
abeha kehti ha haniA tmhari ya adat kab jaye gi k tm khud apni chez da k wapis mangti ho
hania khti ha shadi k bad mjhY tm logo say kuch lanay ki zarorat nahi esk bad abeha kehti ha
shadi kay bad insan ki zindagi badalti ha uski nature nhi
No comments:
Write comments